Yazdani Jalandhari

jalwa afroz hai kabe ke ujalon ki tarah

Yazdani Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1990
jalva afroz hai ka.abe ke ujāloñ kī tarah
dil kī ta.amīr ki kal tak thī shivāloñ kī tarah
aql-e-vārafta ke be-nūr bayābānoñ meñ
ham bhaTakte rahe āvāra ḳhayāloñ kī tarah
ham ki is bazm meñ haiñ sāya-e-ġham kī sūrat
kaun dekhegā hameñ zohra-jamāloñ kī tarah
haath baḌhtā nahīñ rindoñ kā hamārī jānib
ham ḳharābāt meñ haiñ ḳhālī pyāloñ kī tarah
jab koī ḳhār-e-sitam dil meñ utar aatā hai
phuuT kar rotā hai dil paañv ke chhāloñ kī tarah
jab bhī paḌhtā huuñ kitāb-e-ġham-e-hastī ai dil
tazkira un kā bhī miltā hai havāloñ kī tarah
soz-o-ehsās kī tasvīr hai qalb-e-shā.er
naġhme taḳhlīq huā karte haiñ nāloñ kī tarah
arsa-e-dahr meñ kī ham ne basar 'yazdānī'
zulmat-e-shab kī tarah din ke ujāloñ kī tarah
Top Urdushayar.com