laboñ tak aayā zabāñ se magar kahā na gayā
fasāna dard kā al-muḳhtasar kahā na gayā
harīm-e-nāz meñ kyā baat thī jo raaz rahī
vo harf kyā thā jo bār-e-digar kahā na gayā
ye hādsa bhī ajab hai ki tere ġham ke sivā
kisī bhī ġham ko ġham-e-mo'tabar kahā na gayā
nafas nafas meñ thā ehsās-e-ḳhāna-vīrānī
ḳharāba-e-ġham-e-hastī ko ghar kahā na gayā
talāsh kartā huuñ īmā-e-iltifāt abhī
vo kyā nazar thī ki jis ko nazar kahā na gayā
junūñ ne fikr-o-nazar ko vo rif.ateñ baḳhshīñ
ḳhirad ko ham se kabhī dīda-var kahā na gayā
na koī shor na ġhauġhā na hāv-hū na ḳharosh
ḳhizāñ ko mausam-e-derīna-gar kahā na gayā
dil iztirāb-e-guzārish kā mahsharistāñ thā
kisī ke sāmne kuchh bhī magar kahā na gayā