Yazdani Jalandhari

tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai

Yazdani Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1990
tanhā.ī meñ aksar yahī mahsūs huā hai
jis tarah koī merī taraf dekh rahā hai
DhūñDā koī sāthī jo kabhī dasht-e-vafā meñ
ik apnā hī saaya mujhe har baar milā hai
siine meñ hai mahfūz matā-e-ġham-e-daurāñ
dībācha-e-ayyām mire dil pe likhā hai
aahaT sī shab-e-ġham jo tujhe dī hai sunā.ī
ai dil vo tire apne dhaḌakne kī sadā hai
ho ḳhair charāġhān-e-sar-e-rāhguzar kī
sunte haiñ bahut tez zamāne kī havā hai
yak-rañg kahāñ hotī hai insān kī fitrat
har phuul kī ḳhushbū hai alag rañg judā hai
maġhrūr na ho husn pe a sham-e-farozāñ
parvāne kī āñkhoñ meñ koī aur ziyā hai
niiñd aatī hai yazdānī-e-muztar ko sakūñ se
ye maut hai yā dost ke dāman kī havā hai
Top Urdushayar.com