Siraj Aurangabadi

pi kar sharab-e-shauq kun behosh ho behosh ho

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
pī kar sharāb-e-shauq kuuñ behosh ho behosh ho
jiyūñ ġhuncha lab kuuñ band kar ḳhāmosh ho ḳhāmosh ho
ho āshiq-e-ḳhūnīñ-jigar jiyūñ laala is gulzār meñ
khā dil pe dāġh-e-āshiqī gul-posh ho gul-posh ho
tujh kuuñ agar hai aarzū us ḳhush-adā ke vasl kī
ai dil sarāpā shauq meñ āġhosh ho āġhosh ho
umDā hai dariyā dard kā yā-rab mujhe rusvā na kar
aayā hai josh us deg kuuñ sar-posh ho sar-posh ho
majlis meñ ġham kī ai 'sirāj' ab vaqt aayā daur kā
gar ḳhūn-e-dil maujūd hai mai-nosh ho mai-nosh ho
Top Urdushayar.com