manzil-e-sidq-o-safā kā rāsta apnā.iye
kārvān-e-zindagī ke rahnumā ban jā.iye
ham ne maanā har taraf tīra-shabī kā raaj hai
aap sūraj haiñ agar tū raushnī phailā.iye
aa.ina patthar se Takrānā zarūrī to nahīñ
baat jab hai aa.ine se aa.ina Takrā.iye
aap ko tīra-shabī se is qadar kyuuñ ḳhauf hai
ho sake to ek jugnū hī muqābil lā.iye
ye to sach hai zindagī zinda-dilī kā naam hai
zindagī ke naam par itnā bhī mat itrā.iye
gar yuuñ hī kartā rahā mujh ko zamāna pā.emāl
aap ko sab kyā kaheñge ġhaur to farmā.iye
ye bhī ik sastā sā andāz-e-siyāsat hai 'ashok'
kuchh na kiije baiTh kar bas tabsire farmā.iye