Ashok Sawhny

nafraten dil se miTao to koi baat bane

Ashok Sawhny

Pakistan

1938
nafrateñ dil se miTāo to koī baat bane
pyaar kī sham.eñ jalāo to koī baat bane
aaj insān ḳhudā ḳhud ko samajh baiThā hai
is ko insān banāo to koī baat bane
tīrgī baḌhne lagī apnī hadoñ se aage
mish.aleñ din meñ jalāo to koī baat bane
mai-kade meñ nazar aate haiñ sabhī jām-ba-dast
mujh ko āñkhoñ se pilāo to koī baat bane
dharm ke naam pe ḳhuuñ kitnā bahāoge miyāñ
pyaar ke jaam luñDhāo to koī baat bane
mas.ale ḳhūn-ḳharābe se nipaTte kab haiñ
pyaar se un ko manāo to koī baat bane
ho jo duniyā ke liye amn-o-sukūñ kā zāmin
aisā paiġhām sunāo to koī baat bane
jin ke hoñToñ se hañsī chhīn lī duniyā ne 'ashok'
un ko siine se lagāo to koī baat bane
Top Urdushayar.com