Ashok Sawhny

isko ghurur-e-ishq ne kya kya bana diya

Ashok Sawhny

Pakistan

1938
is ko ġhurūr-e-ishq ne kyā kyā banā diyā
patthar banā diyā kabhī shīsha banā diyā
har zaḳhm-e-dil ko ham ne sajāyā hai is tarah
jugnū banā diyā kabhī taarā banā diyā
maiñ kis zabāñ se shukr ḳhudā kā adā karūñ
jis ne mujhe firāq kā shaidā banā diyā
ab kis ke dar pe jā.ūñ maiñ insāf ke liye
munsif ne qātiloñ ko masīhā banā diyā
jab bhī hameñ mahāz se āvāz dī ga.ī
ham ne lahū se hind kā naqsha banā diyā
us ko ḳhulūs kaise nazar aa.egā 'ashok'
dushman ko intiqām ne andhā banā diyā
Top Urdushayar.com