sham-e-iḳhlās-o-yaqīñ dil meñ jalā kar chaliye
zulmat-e-yās meñ ummīd jagā kar chaliye
ham se dīvāne kahāñ zād-e-safar rakhte haiñ
saath chalnā hai to asbāb luTā kar chaliye
ishq kā rāsta āsān nahīñ hotā hai
bāzī-e-ishq meñ jaan apnī luTā kar chaliye
raat añdherī ho to jugnū kī chamak kaafī hai
shart itnī hai ki ehsās jagā kar chaliye
nafrat o buġhz kā anjām burā hotā hai
nafrat o buġhz se dāman ko bachā kar chaliye
raat saffāk hai sūraj ko nigal jaatī hai
apnī muTThī meñ sitāroñ ko chhupā kar chaliye
haath ko haath sujhā.ī nahīñ detā hai 'ashok'
ab charāġhoñ kī jagah dil ko jalā kar chaliye