jo zarūrī hai kaar kar pahle
shukr-e-parvardigār kar pahle
ġham kā har dam bayāñ nahīñ achchhā
apnī ḳhushiyāñ shumār kar pahle
ishq ik aag kā samundar hai
ye samundar tū paar kar pahle
mat uThā uñgliyāñ raqīboñ par
aib apne shumār kar pahle
raushnī kī agar tamannā hai
zulmat-e-shab pe vaar kar pahle
maat bhī is meñ jiit jaisī hai
ishq meñ dekh, haar kar pahle
sar-bulandī hai ḳhāksārī meñ
inkisār iḳhtiyār kar pahle
dene vaalā baḌā.ī bhī degā
us ke bandoñ se pyaar kar pahle