gulsitān-e-zindagī meñ zindagī paidā karo
muskurā kar ruuh meñ kuchh tāzgī paidā karo
murdanī chehre banā kar fā.eda jiine se kyā
kam se kam is zindagī meñ zindagī paidā karo
toḌ do baḌh kar añdherī raat ke shaḌyañtr ko
kuchh nahīñ to ārzū-e-raushnī paidā karo
vaqt ke be-rahm hāthoñ ne kuchal Daalā jinheñ
un ḳhizāñ-dīda guloñ meñ tāzgī paidā karo
dekh lenā ye jahāñ jannat-nishāñ ban jā.egā
dushmanoñ se rasm-o-rāh-e-zindagī paidā karo
sirf ābādī baḌhāne se koī hāsil nahīñ
jin meñ ho insāniyat vo aadmī paidā karo
ka.aba o kāshī alāmat haiñ ḳhudā ke nuur ke
tum ġharīboñ ke gharoñ meñ raushnī paidā karo
zindagī baḳhshī ga.ī hai dard-e-dil ke vāste
zindagī meñ dard-e-dil ai 'sāhnī' paidā karo