nekī badī kī ab koī mīzān hī nahīñ
īmāñ kī baat ye hai ki īmān hī nahīñ
is daur-e-be-zamīr pe kyā tabsira karūñ
lagtā hai mere ahd meñ insān hī nahīñ
kaise rafū karūñ maiñ kahāñ se rafū karūñ
dil bhī hai merā chaak garebān hī nahīñ
rūdād-e-dil bhī hai ye ġham-e-kā.enāt bhī
merī ġhazal nashāt kā sāmān hī nahīñ
barakat hamāre rizq meñ aa.egī kis tarah
ghar meñ hamāre jab koī mehmān hī nahīñ
lo vo azaañ se sub.h kī tasdīq ho ga.ī
goyā ab us ke aane kā imkān hī nahīñ