Manmohan Talkh

kis liye sab ko ajab bojh laga sar apna

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
kis liye sab ko ajab bojh lagā sar apnā
le ke mahfil meñ jo pahuñchā maiñ kaTā sar apnā
haath lapke to bahut pahuñche na gardan tak bhī
na magar ahl-e-nazar the na jhukā sar apnā
rasm phir rasm hai Thahrā hai lahū hī jo suhāg
chamak ai teġh-e-havā le ye rahā sar apnā
sab havā bhuul ga.ī sarkashī-o-sha-zorī
ik zarā dosh-e-havā par jo uḌā sar apnā
ham ne Thokar bhī agar khaa.ī to ghar aa kar hī
apnī dahlīz hī se jā ke lagā sar apnā
bas ki ab dekhnā hai apne lahū se rishta
ḳhvāb meñ dekhtā huuñ tan se judā sar apnā
kam se kam bhuul ga.e vaar to shamshīroñ ko
'talḳh' jaane do bhulā do jo gayā sar apnā
Top Urdushayar.com