abhī shu.ūr ne bas dukhtī rag TaTolī hai
abhī to zindagī bas niiñd hī meñ bolī hai
kisī ḳhayāl ne shab ko jo aañkh kholī hai
dukhoñ kī os meñ dil ne navā bhigo lī hai
paḌī nahīñ hai tumheñ vaqt kī abhī tak maar
bhugat sakoge bhī kyā tum zabāñ to kholī hai
mazāq bas ye kiyā mere saath fitrat ne
matā-e-dil bhī mirī bas nazar meñ tolī hai
kabhī is apne tasavvur pe aañkh bhī bhar aa.ī
qazā ke dosh pe jaise baqā kī Dolī hai