Siraj Aurangabadi

jis kun dard-e-jigar ki lazzat hai

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
jis kuuñ dard-e-jigar kī lazzat hai
zahar us kuuñ misāl-e-amrat hai
dekh tujh naaz kī nazākat kuuñ
nighat-e-gul shahīd-e-hairat hai
kam-numā.ī siiñ us qamar-rū kuuñ
māh-e-nau kī misāl shohrat hai
merī āñkhoñ meñ yaar kī tasvīr
aks-e-ā.īna-e-mohabbat hai
jhāñjh meñ kyuuñ na aave dil merā
tujh judā.ī kī mujh ko naubat hai
kyā chukā bū hai zulf meñ terī
aarsī jis kuuñ dekh chakrat hai
vasl meñ iztirāb jaatā nahīñ
sau qaran mujh kuuñ ek saa.at hai
misl-e-ā.īna kar namad-poshī
sāfī-e-sīna tark-e-zīnat hai
phir patañgoñ kā shor uTThā 'sirāj'
jalva-e-sham.a-rū qayāmat hai
Top Urdushayar.com