Manmohan Talkh

zamana hai ki mujhe roz sham Dasta hai

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
zamāna hai ki mujhe roz shaam Dastā hai
magar ye dil hai ki pahle se aur hañstā hai
tū ye batā unheñ kis ne banā diyā aisā
ki tere sāmne har koī dast-basta hai
maiñ us ko chhoḌ ke ab jā.ūñ to kahāñ jā.ūñ
yahī to ek merī zindagī kā rasta hai
ajiib baat hai lagtā hai yuuñ har ik chehra
ki bolne ke liye jis tarah tarastā hai
jo sukh kā saañs mile umr bhar ke badle bhī
tū merī maan ki saudā ye phir bhī sastā hai
sab ek dūsre ko ab to yuuñ bhī jānte haiñ
ki ek ek kā andar se haal ḳhasta hai
shikāyat aur to kuchh bhī nahīñ in āñkhoñ se
zarā sī baat pe paanī bahut barastā hai
karāhtā bhī hai har aan jo bhī zinda hai
aur apne gird shikanja bhī ḳhud hī kastā hai
hamārā kal koī pātāl meñ rakh aayā hai
samundaroñ meñ se kahte haiñ koī rasta hai
kisī tarah bhī to samjhā sake na ham us ko
zamāne se ye kaho ḳhud pe 'talḳh' hañstā hai
Top Urdushayar.com