shikasta-pā ko bhī ab zauq-e-rah-navardī hai
diloñ meñ ham ne vo dhun manziloñ kī bhar dī hai
guzār kar tirī yādoñ meñ chaar din ham ne
samajh liyā ki koī ḳhaas baat kar dī hai
mirī talab mirī hastī se kuchh ziyāda na thī
agarche mujh pe ye tohmat jahāñ ne dhar dī hai
jo rāste nazar aate haiñ jāne-pahchāne
unhīñ ne gum-shudagī kī hameñ ḳhabar dī hai
milā surāġh-e-haqīqat to dekhtā kyā huuñ
ki us ne quvvat iz.hār ḳhatm kar dī hai
na pūchh āgahī-e-ġham ki yuuñ huā mahsūs
dahaktī aag pe maiñ ne zabān dhar dī hai
bahut bujhī huī bātoñ kā bojh hai dil par
magar kisī ko bhī kyā 'talḳh' ne ḳhabar dī hai