aa.eñ aañsū agar āñkhoñ meñ to bas pī jaa.eñ
haal sab pūchhte haiñ ham na kahīñ bhī jaa.eñ
dekhte ho jo kabhī mahv-e-suḳhan ḳhud se hameñ
haiñ vo bāteñ bhī ki ḳhud se jo faqat kī jaa.eñ
ham ka.ī roz se be-vaj.h bahut ḳhush haiñ chalo
zindagī kī ye adā.eñ bhī to dekhī jaa.eñ
ham to yuuñ chup haiñ ki kyā baat kisī se kī jaa.e
phir bhī muñh se ka.ī bāteñ to nikal hī jaa.eñ
raah chalte maiñ jise dekhtā huuñ lagtā hai
jaise be-vaj.h sī āñkheñ haiñ ki taktī jaa.eñ
kyā mileñ 'talḳh' kisī se kabhī aate jaate
ghar kī chaukhaT pe qadam rakh ke palaT bhī jaa.eñ