Manmohan Talkh

mujhko ye kya ho jata hai ghar ka tasawwur aate hi

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
mujh ko ye kyā ho jaatā hai ghar kā tasavvur aate hī
jaise ghar suunā suunā lagtā hai kisī ke jaate hī
apne jo qisse auroñ se sun sun kar ḳhush hote the
ham the apnī nazar meñ jhūTe ḳhud un ke dohrāte hī
vo jo bahut bharpūr the ḳhud meñ vo kyuuñ saath meñ chīḳh uThe
ham to ḳhud se ḳhaufzada the ham to shor machāte hī
saath tirā hāsil na rahā kab ham ko yaad nahīñ paḌtā
ya.anī rishta koī baaqī hai milne aa us naate hī
dhyān kise thā tere jī meñ aa.ī hai dard baTāne kī
varna saath tire kahne par ham kuchh duur to jaate hī
aaj jo tujh se baat huī to jaise ham vo haiñ hī nahīñ
itnā arsa biit gayā kyā tujh tak aate aate hī
tū ne kahā bhī ho jo kabhī kuchh tujh ko kyā ma.alūm ki maiñ
kitnā ḳhālī ho jaatā huuñ tujh ko dhyān meñ laate hī
shāyad koī ek hī aayā shāyad koī na aayā thā
ham na jo tum ko dekh sake the tum ko nazar to aate hī
bāhar andar talḳh añdherā kis ko DhūñDne nikle ho
jot jalā aate chaukhaT par kuchh to Dhāras paate hī
Top Urdushayar.com