Manmohan Talkh

bahut hain roz-e-sawab-o-gunah dekhne ko

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
bahut haiñ roz-e-savāb-o-gunāh dekhne ko
ki ham haiñ zindagi-e-be-panāh dekhne ko
banegī ab nazar inkār so ruke haiñ sabhī
ḳhud apnī aañkh se apnī nigāh dekhne ko
mirī navā ko jo pākīzgī atā kar de
taras rahā huuñ vo māsūm chaah dekhne ko
maiñ sañg-e-rāh nahīñ dil ke is do-rāhe par
khaḌā huā huuñ faqat apnī raah dekhne ko
milā diyā hameñ apnoñ se shukriya ai vaqt
yahī mile the hameñ yuuñ tabāh dekhne ko
tunuk-mizāj haiñ ham yuuñ na roz roz milo
bahut hai aao agar gaah gaah dekhne ko
jo mere baare meñ mujh se bhī mo'tabar hai koī
maiñ jī rahā huuñ tirā vo gavāh dekhne ko
sun ai hamāre siyāh o safed ke mālik
ham aa.e haiñ vo safed o siyāh dekhne ko
tum aañkh tak nahīñ malte machā ho jab kohrām
tum aañkh kholte ho sirf vaah dekhne ko
vo chup to yuuñ hai ki āgāh jin ko karnā thā
jiye na lamha-e-yak-intibāh dekhne ko
ye kis kī aah lagī ghar nahīñ koī miltā
har ik makān hai ḳhud sab kī raah dekhne ko
khulā ki dīda-e-ibrat nigāh koī na thā
uThī thī yuuñ to har ik kī nigāh dekhne ko
jo sab kī jaan kā janjāl ye nibāh hai 'talḳh'
maiñ sab ke saath huuñ bas vo nibāh dekhne ko
Top Urdushayar.com