sanam ḳhush tab.īyāñ sīkhe ho tum kin kin zarīfoñ siiñ
ki ye lutf-e-adā ma.alūm hotā hai latīfoñ siiñ
likhūñ vasf us kī zulfoñ ke qalam kar shāḳh-e-sumbul kuuñ
davātoñ meñ siyāhī bhar gul-e-shabbū kī qīfoñ siiñ
tirī sīdhī nigāheñ in dinoñ meñ garm-e-ulfat haiñ
mujhe saifī lagī hai haat ka.ī vird aur vazīfoñ siiñ
ḳhayāl is kā ham-āġhosh-e-nazar hai saat pardoñ meñ
ajab shoḳhī siiñ pesh aayā hai ye shoḳh un afīfoñ siiñ
kahāñ paa.e maze ke is qadar us ne baḌe koī
tirī āñkhoñ kuuñ sau darje sharāfat hī sharīfoñ siiñ
hujūm-e-bul-havas ke sham.a-e-majlis ho so kyā ma.anī
latīfoñ kuuñ ravā niiñ iḳhtilāt aise kasīfoñ siiñ
mizājeñ nā-muvāfiq hoñ to kab sohbat barār ho.e
nahīñ miltī hamārī tab.a in duniyā ke jīfoñ siiñ
abas mat dekh āñkheñ phaaḌ phaaḌ in chashm-e-ḳhūnīñ kuuñ
paḌā niiñ nargis-e-bāġhī tujhe kaam in harīfoñ siiñ
ḳhas-o-ḳhāshāk-e-rah haiñ ham tire ai sho.ala-ḳhū zālim
munāsib niiñ hai itnī sar-kashī āḳhir za.īfoñ siiñ
subuk rūhān-e-ma.anī bū-e-gul haiñ bāġh-e-irfāñ ke
har ik ḳhār-e-girāñ jaañ kuuñ ḳhabar kyā in latīfoñ siiñ
ġhalat niiñ hai ki bulbul hāfiz-e-sīpāra-e-gul hai
sanad rakhtā huuñ maiñ gul-barg ke rañgīñ sahīfoñ siiñ
raqīb us sañg-dil siiñ muntazir haiñ ham-kalāmī ke
suḳhan kartā hai kab vo koh-e-tamkīñ in ḳhafīfoñ siiñ
adīb-e-ishq ke shāgird haiñ farhād aur majnūñ
ki koh-o-dasht kā maktab hai garm in do ḳhalīfoñ siiñ
'sirāj' is sham.a kuuñ hai shauq parvāne jalāne kā
duā kar yā ilāhī mom dil ho.e ham najīfoñ siiñ