maiñ ḳhud ko har ik samt se gher kar
khaḌā huuñ pare ḳhud se muñh pher kar
na ḳhud se bhī milne kī jaldī machā
mirī maan thoḌī bahut der kar
maiñ apnā hī madd-e-muqābil huuñ ab
kahūñ ḳhud se le ab mujhe zer kar
kahoge magar kyā ki ḳhud ko to maiñ
kahīñ se bhī le ā.ūñgā gher kar
yūñhī kho diyā tujh ko bhī ḳhud ko bhī
kabhī jaldī kar to kabhī der kar
nahīñ saañs lene kā bhī 'talḳh' dam
na sāñsoñ kā to jam.a ye Dher kar