ab aur sānehe ham par nahīñ guzarne ke
guzar ga.e haiñ jo lamhe the ḳhud se Darne ke
na bhāgne ke rahe ham na ab Thaharne ke
vo lamhe aa.e jo aa kar nahīñ guzarne ke
baḌe baḌoñ ne yahāñ aa ke dam nahīñ maarā
vo aa.e marhale apnī sadā se Darne ke
ye ek arse ke chup kī ḳharāsh aur sahī
sadā ke zaḳhm to chup se nahīñ the bharne ke
na.e sire se ta.alluq baneñge bigḌeñge
ki ab irāde haiñ ek ek baat karne ke