Manmohan Talkh

zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujhse

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
zikr hai dard kā ik shahr basā hai mujh se
ab ye jaanā ki merā dard baḌā hai mujh se
bahut ehsāñ hai jo koī bhī milā hai mujh se
shahr kā shahr magar jaise ḳhafā hai mujh se
bār-hā ḳhud pe maiñ hairān bahut hotā huuñ
koī hai mujh meñ jo bilkul hī judā hai mujh se
kaT se jaate haiñ sabhī koī nahīñ kuchh kahtā
kaun sā jaane qusūr aisā huā hai mujh se
muñh pe kahne to lage haiñ mirī bastī vaale
baat karne kā chalan kuchh to chalā hai mujh se
baat karte hue ḳhud se jo guzartā hai koī
mujh ko lagtā hai ye kuchh us ne kahā hai mujh se
abhī lauT aa.egā mirī hī tarah kuḌhtā sā
mere hī ghar kā pata pūchh gayā hai mujh se
maiñ ne ye sab se kahā tum to kahīñ ke na rahe
aur dekho ki yahī sab ne kahā hai mujh se
hai koī mujh sā kahūñ kyā na maiñ jānūñ na kuchh aur
aur merā hī pata pūchh rahā hai mujh se
'talḳh' jaatā hī nahīñ dukh ke nagar kahtā hai
hai vahāñ jo bhī vo mil kar hī gayā hai mujh se
Top Urdushayar.com