Manmohan Talkh

sabit ye main karunga ki hun ya nahin hun main

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
sābit ye maiñ karūñgā ki huuñ yā nahīñ huuñ maiñ
vahm o yaqīñ kā koī do-rāhā nahīñ huuñ maiñ
sustā rahā huuñ rāhguzar se zarā pare
kyā mujh ko tak rahe ho tamāsha nahīñ huuñ maiñ
pahlā qadam kahīñ mire inkār kā na ho
honā thā jis jagah mujhe us jā nahīñ huuñ maiñ
baisākhiyoñ pe chalte bano muñh na tum lago
kahtā huuñ phir ki aadmī achchhā nahīñ huuñ maiñ
huuñ apne daa.eñ baa.eñ bhī maiñ hī ye soch lo
tum ho to merī taak meñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
samjhe na koī sarsarī sā tazkira mujhe
bhar-pūr mājrā huuñ havāla nahīñ huuñ maiñ
hairat-kada huuñ vo ki jise lā-makāñ kaheñ
tum kyā samajh rahe ho mujhe kyā nahīñ huuñ maiñ
ye mujh ko sochnā hai ki aglā qadam ho kyā
yuuñ bhī kisī kī baat meñ aayā nahīñ huuñ maiñ
kahtā hai 'talḳh' ghar se nikalnā karūñgā band
koī bachā hai jis se ki uljhā nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com