Manmohan Talkh

talKH suna hai ji tera arsa hua niDhaal hai

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
'talḳh' sunā hai jī tirā arsa huā niDhāl hai
ḳhud se zarā nikal ke dekh ek sā sab kā haal hai
sāmne aa gayā vo jab kar ga.e dar-guzar use
ab ye talāsh hai abas merā yahī ḳhayāl hai
raah takegā kyā koī aa bhī sakegā kyā koī
chal paḌeñ yā ruke raheñ sochnā tak muhāl hai
vaqt-shikan koī kahāñ vaqt ke haath paḌ gayā
is kā na kuchh hisāb hai aur na koī misāl hai
apnī har ek chaal par tum jo rahe ho ḳhanda-zan
maat hai dekhte ho kyā aao tumhārī chaal hai
radd o qubūl terā haq radd-e-amal hamārā haq
ek bhī multajī nahīñ sab kī nazar savāl hai
'talḳh' maiñ is kā aaj tak DhūñD nahīñ sakā javāz
dil ko ye kyā sukūn hai aur ye kyā malāl hai
Top Urdushayar.com