Manmohan Talkh

ye shahr shahr sar-e-am ab munadi hai

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
ye shahr shahr sar-e-ām ab munādī hai
na vo rahegā mulāqāt kā jo aadī hai
zamīn dī hai khulī dhuup dī havā dī hai
ba-nām-e-zindagi kaisī kaḌī sazā dī hai
maiñ apne aap se kyā pūchhtā huuñ rah rah kar
ye kyuuñ lage ki kisī ne mujhe sadā dī hai
tirā hī ruup koī thā yahāñ jab aayā thā
ye dekh vaqt ne ab shakl kyā banā dī hai
duā salām to thī rasm-e-rab se thī murād
so mere shahr ne ye rasm hī uThā dī hai
faqat sadā hī suno kyuuñ nazar na aa.egī
ki ab to biich kī dīvār bhī girā dī hai
tamām umr na us ko kisī ne pahchānā
jo us ke muñh pe thī chādar vo kyuuñ haTā dī hai
ye ab gharoñ meñ na paanī na dhuup hai na jagah
zamīñ ne 'talḳh' ye shahroñ ko bad-duā dī hai
Top Urdushayar.com