Manmohan Talkh

kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
kuchh aur nazar aate ḳhud se jo Dare hote
saa.e meñ kahīñ hote kuchh zaḳhm bhare hote
duniyā kā jo bas chaltā rakh detī kuchal kar hī
phir ye bhī haqīqat hai ham kitnā pare hote
lagtīñ na kisī ko bhī bāteñ ye burī apnī
do-chār jo ham aaise kuchh aur khare hote
andar se sabhī shāyad āvāz ke ghāyal haiñ
āvāz na dete to kyuuñ zaḳhm hare hote
ho koī bhī ham sab kā muñh band na kar dete
ilzām agar sar pe ḳhud hī na dhare hote
kuchh dekh ke jī apnā hotā jo zarā bhī ḳhush
phir haath in ā.ankhoñ pe aaise na dhare hote
kuchh jānñe kī dhun hai kyā jānñā hai lekin
ma.alūm ye hotā to ḳhud se na pare hote
ye 'talḳh' kiyā kyā hai ḳhud se bhī ga.e tum to
marnā hī kisī par thā tum ḳhud pe mare hote
Top Urdushayar.com