saañs roke raho lo phir vo sadā aatī hai
jis ko tarseñ ka.ī sadiyāñ to sunī jaatī hai
koī pahchān vahī phāñs banī hai ki jo thī
ajnabiyyat vahī har saañs meñ sharmātī hai
haath phailā.e hue maañg rahī hai kyā raat
kyuuñ añdheroñ meñ havā ro.e chalī jaatī hai
maut kī niiñd magar ab ke zarūr uchTī hai
varna ham aisoñ ko jhapkī sī kahāñ aatī hai
baat kartā huuñ maiñ sab kī ye gumāñ kaise hai
merā har sāneha merā hai bahut zaatī hai
kaifiyat sī ye magar kyā hai hamāre jī kī
jaise raftār ki raftār se Takrātī hai
apnā-pan bhī hai vahī aur vahī khoyā-pan
'talḳh' tū aaj bhī pahle sā hī jazbātī hai