Manmohan Talkh

bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujhko

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
banā de aur bhī kuchh duur kī sadā mujh ko
ye jitne fāsle mumkin haiñ sab dikhā mujh ko
har ek chehre ko pahchānñe kī koshish ne
har ek chehre kī uljhan banā diyā mujh ko
thakā thakā sā tasalsul banā ke dariyā kā
ye phailtā huā sahrā na ab banā mujh ko
maiñ silsila huuñ sadāoñ ke TuuT jaane kā
to soch kar hī dobāra sadā banā mujh ko
tū merī baat hai to guuñj jā mire andar
maiñ terī chup huuñ to phir toḌ kar dikhā mujh ko
maiñ sun rahā huuñ har ek choT meñ sadā apnī
ruke na haath tirā toḌtā hī jā mujh ko
merā ḳhayāl hai ghar ke bahut qarīb huuñ maiñ
har ek lamha na yuuñ varna dekhtā mujh ko
ye log kyā haiñ kisī kā koī vajūd bhī hai
ye ār-pār nazar aa rahā hai kyā mujh ko
ajab thakan huuñ kisī se na kuchh bhī kahne kī
ajab tarah ye paḌā ḳhud se vāsta mujh ko
maiñ apne dhyān se ḳhud hī utar gayā thā talḳh
sabhī ġhalat haiñ kisī ne nahīñ sunā mujh ko
Top Urdushayar.com