mahsūs jo hotā hai ki ham haiñ bhī nahīñ bhī
dekho to jo ham aaise hoñ do chaar kahīñ bhī
auhām ke asrār bhī kuchh kam nahīñ gahre
chakkar meñ bahut aa.e haiñ kuchh ahl-e-yaqīñ bhī
az-roz-e-azal hai ki nahīñ hai kā hai mahshar
aur is kā javāb aaj bhī haañ bhī hai nahīñ bhī
jo baat samajh le vo kahīñ bhī na milegā
ghuum aao jidhar chāho chale jaao kahīñ bhī
iqrār bhī inkār bhī par tol rahā hai
parvāz se larzāñ hai mirī haañ bhī nahīñ bhī
āfāq jhukā aa.e jahāñ baiThe hoñ chup-chāp
bas ham se bahut tañg falak bhī hai zamīñ bhī
tā-hadd-e-nazar naqsh-e-qadam bhī nahīñ miltā
har sañg se zāhir koī rūdād-e-jabīñ bhī
jo naqsh-e-qadam vaqt ke haiñ ret pe ai 'talḳh'
kuchh aaise falak par bhī haiñ kuchh zer-e-zamīñ bhī