Manmohan Talkh

ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai

Manmohan Talkh

Nagpur, Maharashtra, India

1931-2001
ek lamha jo kaTe dūsrā phir bhārī hai
huī ik umr ki apnī tag-o-dau jaarī hai
kah ke ye mujh se ki is shahr meñ ho tum kab se
iiñT sar par kisī ne jaise ki de maarī hai
aur le aa.e ho tum bāteñ ye duniyā bhar kī
apnī bātoñ se yahāñ pahle hī be-zārī hai
koī jis baat se ḳhush hai to ḳhafā dūsrā hai
kuchh bhī kahne meñ kisī se yahī dushvārī hai
saath le leñ ye zarā ḳhud ko to bas chalte haiñ
aur rahne ke nahīñ chalne kī tayyārī hai
daad jab madd-e-muqābil ke suḳhan kī dī aaj
dost kahte haiñ ki matlab kī taraf-dārī hai
ḳhud ko yā dūsroñ ko 'talḳh' pareshāñ na karo
kuchh nahīñ tum ko faqat jiine kī bīmārī hai
Top Urdushayar.com