Siraj Aurangabadi

naqsh-e-qadam hua hun mohabbat ki rah ka

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
naqsh-e-qadam huā huuñ mohabbat kī raah kā
kyā dil-kushā makāñ hai mirī sajda-gāh kā
garmī siiñ āftāb-e-qayāmat kī kyuuñ darūñ
saaya hai mujh kuuñ sarv-e-qayāmat-panāh kā
nāsūr ho ki roz-e-qayāmat talak bahe
jis ke jigar meñ tiir lage tujh nigāh kā
piv kā jamāl dekh huā chaak chaak dil
jiyūñ ki katāñ pe aks paḌe nūr-e-māh kā
Dore nahīñ haiñ surḳh tirī chashm-e-mast meñ
shāyad chaḌhā hai ḳhuun kisī be-gunāh kā
dil tujh birah kī aag siiñ kyūñkar nikal sake
sho.ala señ kyā chalegā kaho barg kaah kā
sumbul hai jiyūñ ki jalva-numā jūebār par
āñkhoñ meñ merī aks do-zulf-e-siyāh kā
mahtāb-rū ke ruḳh pe siyah ḳhat nahīñ 'sirāj'
jā kar khalā huā hai mire duud aah kā
Top Urdushayar.com