Chandra Shekhar Varma

kahin chandan mahakta hai kahin kesar mahakta hai

Chandra Shekhar Varma

Lucknow, Uttar pradesh, India

1967
kahīñ chandan mahaktā hai kahīñ kesar mahaktā hai
ye ḳhushbū hai buzurgoñ kī jo merā ghar mahaktā hai
vo apnī jhurriyoñ vaalī hathelī meñ duā bhar kar
jo chhū dete haiñ merā sar to merā sar mahaktā hai
agarbattī ke jaisā ho gayā hai dil hamārā ab
vo apne devtā ke sāmne jal kar mahaktā hai
tumhāre shahr meñ ab to bahāreñ bhī huī baasī
hamāre gaañv aa jaao yahāñ patjhaḌ mahaktā hai
mire is jism kī apnī koī ḳhushbū nahīñ lekin
mahaktā huuñ maiñ is kāran mirā dilbar mahaktā hai
saḌak par Thokareñ duniyā kī vo khātā rahā barsoñ
use mandir meñ jab rakkhā vahī patthar mahaktā hai
tirā bhīgā badan ik din nazar se chhū liyā maiñ ne
usī din se mirī āñkhoñ kā har manzar mahaktā hai
Top Urdushayar.com