Chandra Shekhar Varma

ghazal tumko sunane ke bahane DhunD leta hun

Chandra Shekhar Varma

Lucknow, Uttar pradesh, India

1967
ġhazal tum ko sunāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
maiñ yuuñ hī muskurāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
maiñ kāfir huuñ ḳhudā ke dar kabhī sajda nahīñ kartā
magar maiñ sar jhukāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
koī bhī khel ho maiñ ehtiyāt itnī barattā huuñ
maiñ pahle haar jaane ke bahāne DhūñDh letā huuñ
nahīñ dikhtā hai mujh ko Thiik se ab duur kā kah kar
tire nazdīk aane ke bahāne DhūñD letā huuñ
maiñ us ke dar pe jā kar māñgtā huuñ haath jab terā
ḳhudā ko āzmāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
tirī mahfil meñ aatā huuñ pahan kar dhuup kā chashma
nazar tujh par Tikāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
maiñ lā-javāb huuñ lekin hai aqīda eid par merā
gale tujh ko lagāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
hai maqsad ye ki logoñ ke kalejoñ ko mile ThanDak
maiñ apnā dil jalāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
bahut zoroñ se hañs paḌtā huuñ maiñ bin baat ke aksar
maiñ yuuñ aañsū bahāne ke bahāne DhūñD letā huuñ
Top Urdushayar.com