Chandra Shekhar Varma

itni aasani se gar tujhko KHuda mil jaega

Chandra Shekhar Varma

Lucknow, Uttar pradesh, India

1967
itnī āsānī se gar tujh ko ḳhudā mil jā.egā
phir to terī vahshatoñ ko hausla mil jā.egā
tikaḌmoñ se tujh ko jannat kā patā mil jā.egā
par sifārish se vahāñ kyā dāḳhila mil jā.egā
tīrgī to bas tamāsha dekhtī rah jā.egī
āñdhiy.oñ se sāzishan bujhtā diyā mil jā.egā
bechnā to hai nahīñ īmān phir bhī boliye
is kā bāzāroñ meñ ham ko daam kyā mil jā.egā
aañkh hai ghar dil galī ye jism un kā shahr hai
Dākiya ko mujh meñ hī un kā patā mil jā.egā
jhūTī shakloñ ko hai mushkil ḳhud ko vo dekheñ kahāñ
sachche chehroñ ko to phir bhī aa.ina mil jā.egā
sach to ye hai phir se us kī bātoñ meñ aa jā.eñge
aaj bhī ham ko agar vo bevafā mil jā.egā
aap ke naḳhre uThā.eñ har ghaḌī minnat kareñ
jā.iye itne meñ to ham ko ḳhudā mil jā.egā
nā-umīdī meñ bhī merī pur-umīdī dekhiye
vo huā mil kar judā ho kar judā mil jā.egā
Top Urdushayar.com