ta.aziyat kī khokhlī hai rasm jaarī āj-kal
is tarah se ho rahī hai ġham-gusārī āj-kal
log nañge paañv haiñ aur kirchiyāñ haiñ farsh par
aur is par maut kā hai raqs jaarī āj-kal
shauq hai ham ko tamāsha dekhne kā aur yahāñ
rahnumā bhī mil ga.e haiñ kuchh madārī āj-kal
ab nisāb-e-ishq meñ shāmil nahīñ mehr-o-vafā
ho ga.e haiñ ye mazāmīñ iḳhtiyārī āj-kal
jiit par us kā yaqīñ puḳhta huā ye dekh kar
aa rahī hai nafratoñ meñ pā.edārī āj-kal
ye kahā thā maan se vo maan rakhtā hai mirā
ho rahī hai jā-ba-jā par sharmsārī āj-kal
muddatoñ ke ba.ad vo paikar huā hai mehrbāñ
hai magar parhez-gārī ham pe taarī āj-kal
baḳht kyā jaage mire duniyā shanāsā ho ga.ī
sab kī mujh se ho ga.ī hai rishtedārī āj-kal
zindagī kamyāb hone kā ḳhasāra ye bhī hai
qātiloñ meñ baḌh ga.ī be-roz-gārī āj-kal