Shamim Ravish

mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

Shamim Ravish

Katihar, Bihar, India

1956
mire atrāf ye kaisī sadā.eñ raqs kartī haiñ
ki yuuñ lagtā hai mujh meñ apsarā.eñ raqs kartī haiñ
isī ummīd par shāyad kabhī ḳhushbū koī utre
mirī yādoñ ke āñgan meñ havā.eñ raqs kartī haiñ
mayassar hī nahīñ aatī mujhe ik pal bhī tanhā.ī
ki mujh meñ ḳhvāhishoñ kī ḳhādmā.eñ raqs kartī haiñ
mujhe har shaam ik sunsān jañgal khīñch letā hai
aur is ke ba.ad phir ḳhūnī balā.eñ raqs kartī haiñ
kabhī dekhā hai tum ne shaam kā manzar jab āñkhoñ meñ
sitāre TūTte haiñ aur ghaTā.eñ raqs kartī haiñ
kisī kī chaah meñ koī 'ravish' jab jaan detā hai
zamīñ se āsmāñ tak ātmā.eñ raqs kartī haiñ
Top Urdushayar.com