Siraj Aurangabadi

dilbari har bul-hawas ki had sin afzun mat karo

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
dilbarī har bul-havas kī had siiñ afzūñ mat karo
muflis-e-be-qadr kuuñ yak-pal meñ qārūñ mat karo
mat chaḌhāo āstīñ tum qatl karne par mire
apne dāman kuuñ abas ālūda-e-ḳhūñ mat karo
mehrbānī kī tarah pahlī na bhūlo yak-ba-yak
bait-e-abrū kuuñ tum apnī taaza mazmūñ mat karo
lazzat-e-mastī agar dil kuuñ tumhāre hai aziiz
jab talak dīvāna hue tab lag falātūñ mat karo
apne āshiq kuuñ dikhāo jalva-e-īmāñ-fareb
aql kī rakhtā hai bū zāhid kuuñ majnūñ mat karo
kar diye haiñ āshiqoñ ne ḳhuun apne kuuñ sabīl
panja-e-nāzuk kuuñ mehñdī laala gulgūñ mat karo
chhoḌ diyo tā-ātish-e-hasrat meñ jal kar ḳhaak ho.e
lāsha-e-āshiq kuuñ marne ba.ad madfūñ mat karo
āshiqoñ kuuñ is do-bālā kaif kī bardāsht na.iiñ
ḳhat kī sabzī lab kī shakkar saath ma.ajūñ mat karo
ḳhud-baḳhud be-ḳhud huā hai dekh kar tum kuuñ 'sirāj'
is qadar nāz-o-adā kā sehr-o-jādū mat karo
Top Urdushayar.com