is se pahle ki charāġhoñ ko vo bujhtā dekhe
us se kahnā ki vo aa.e mirā chehra dekhe
us se kahnā mire chehre se ye āñkheñ le jaa.e
us se kahnā ki kahāñ tak koī rasta dekhe
maiñ ne dekhā hai samundar meñ utartā sūraj
us se kahnā ki mashiyyat kā ishārā dekhe
us se kahnā ye munādī bhī karā dī jaa.e
koī is ahd meñ ab ḳhvāb na sachchā dekhe
ek muddat se in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
us se kahnā vo koī ḳhvāb na aisā dekhe
us se kahnā kabhī vo bhī to sar-e-shām 'ravish'
merī palkoñ pe sitāroñ ko utartā dekhe