ruuh ko apnī tah-e-dām nahīñ kar saktā
maiñ kabhī sub.h se yuuñ shaam nahīñ kar saktā
umr-bhar saath to rah saktā huuñ tere lekin
apnī āñkheñ maiñ tire naam nahīñ kar saktā
tujh ko itnā nahīñ ma.alūm mire baare meñ
shart rakh kar maiñ koī kaam nahīñ kar saktā
mujh pe har ik se mohabbat kī ye tohmat na lagā
maiñ ki is jazbe ko yuuñ aam nahīñ kar saktā
is qadar uljhā huā rahtā huuñ ḳhud se ki 'ravish'
do ghaḌī ko bhī maiñ ārām nahīñ kar saktā