dīvār kī sūrat thā kabhī dar kī tarah thā
vo dhund meñ lipTe hue manzar kī tarah thā
dekhā to shagufta sā lagā phuul kī sūrat
utrā to mirī ruuh meñ ḳhanjar kī tarah thā
maiñ aaj tahī-dast huuñ ik ḳhaas sabab se
varna maiñ zamāne meñ sikandar kī tarah thā
kuchh vaqt ne tartīb bigāḌī mire ghar kī
kuchh ghar bhī mirā mere muqaddar kī tarah thā
vo jāgte lamhoñ meñ bhī patthar kī tarah thī
maiñ niiñd ke aalam meñ bhī aazar kī tarah thā