duur tak phailī huī hai tīrgī bāteñ karo
Das na le ham ko kahīñ ye ḳhāmushī bāteñ karo
aao palkoñ se chuneñ bikhre hue lamhāt ko
niiñd aa jaa.e na jab tak ḳhvāb kī bāteñ karo
bas yahī lamhe ġhanīmat haiñ ki ham tum saath haiñ
kaun jaane mil bhī paa.eñ phir kabhī bāteñ karo
sirf ik karb-e-musalsal hī nahīñ hai zindagī
muḳhtasar vaqfe kī sūrat hai ḳhushī bāteñ karo
ruuh ke nāsūr to riste raheñge umr bhar
dard meñ aa jaa.e shāyad kuchh kamī bāteñ karo
kaun jaane kal kā sūraj dekh bhī pā.eñge ham
jab talak hai raat baaqī bas yūñhī bāteñ karo
is qadar ḳhāmosh rahnā bhī nahīñ achchhā 'ravish'
chhā na jaa.e zehn par afsurdagī bāteñ karo