palkoñ pe sitāra sā machalne ke liye thā
vo shaḳhs in āñkhoñ meñ pighalne ke liye thā
vo zulf havāoñ meñ bikharne ke liye thī
aur jism mirā dhuup meñ jalne ke liye thā
jis roz tarāshe ga.e ye zaḳhm usī roz
ik zaḳhm mirī ruuh meñ palne ke liye thā
us ḳhvāb kī ta.abīr mujhe miltī bhī kaise
vo ḳhvāb to afsānoñ meñ Dhalne ke liye thā
jis raah ke patthar ko 'ravish' kos rahe the
vo raah kā patthar to sambhalne ke liye thā