āñkhoñ meñ hijr chehre pe ġham kī shikan to hai
mujh meñ sajī huī magar ik anjuman to hai
sāñsoñ ko us kī yaad se nisbat hai aaj bhī
mujh meñ kisī bhī taur sahī bāñkpan to hai
har sub.h chahchahātī hai chiḌiyā muñDer par
vīrān ghar meñ aas kī koī kiran to hai
mumkin hai us kā vasl mayassar na ho mujhe
lekin is aarzū se mirā ghar chaman to hai
har vaqt mahv-e-raqs hai chehra ḳhayāl meñ
be-rabt zindagī hai magar dil magan to hai
har lamha us se rahtā huuñ masrūf-e-guftugū
kahne ko mere saath koī ham-suḳhan to hai
mere liye ye baat hī kaafī hai ai 'ravish'
kuchh bhī ho mujh meñ ab bhī mirā apnā-pan to hai