Siraj Aurangabadi

teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
tirī nigāh kī aniyāñ jigar meñ saliyāñ haiñ
najānūñ kaun se zahr-āb biich paliyāñ haiñ
udhar siiñ tund nigāheñ idhar dil-e-nāzuk
kidhar ke tiir kī choTeñ kidhar kuuñ chaliyāñ haiñ
ḳhayāl-e-ġhuncha-dahan meñ za-bas-ki jaarī hai
hamāre ashk kī laḌ motiye kī kaliyāñ haiñ
zabān-e-hāl siiñ kahtā hai un kā naqsh-e-qadam
bahisht-e-dīda-o-dil ḳhush-qadoñ kī galiyāñ haiñ
na pūchh sarv kā un qumriyoñ kuuñ ḳhāk-nashīñ
vo sho.ala-qad ke dukhoñ ai 'sirāj' jaliyāñ haiñ
Top Urdushayar.com