Salahuddin Nayyar

fasil-e-shahr ko jab tak gira nahin denge

Salahuddin Nayyar

Hyderabad, Telangana, India

1935
fasīl-e-shahr ko jab tak girā nahīñ deñge
hameñ ye log kabhī rāsta nahīñ deñge
tamām umr jo chehre ko apne paḌh na sake
ham un ke hāthoñ meñ ab aa.ina nahīñ deñge
ghuTan ho aisī ki tum khul ke saañs le na sako
tumheñ ham is se ziyāda sazā nahīñ deñge
tujhe Dubo.eñge ḳhud tere hāshiya-bardār
ham apnī raah se tujh ko haTā nahīñ deñge
ye bazm-e-sh.er-o-adab kab kisī kī hai mīrās
jo nasl gūñgī ho ham jā.eza nahīñ deñge
vo jin ke naam se ham zahr pī ga.e 'nayyar'
ham un ke haq meñ kabhī bad-duā nahīñ deñge
Top Urdushayar.com