matā-e-hosh yahāñ sab ne bech Daalī hai
tumhāre shahr kī tahzīb hī nirālī hai
ham ahl-e-dard haiñ taqsīm ho nahīñ sakte
hamārī dāstāñ gulshan meñ Daalī Daalī hai
na jaane bazm se kis ko uThā diyā tum ne
tamām shahr-e-vafā aaj ḳhālī ḳhālī hai
ta.alluqāt ko TuuTe hue zamāna huā
vo ik nigāh magar aaj bhī savālī hai
ḳhulūs bāñTtā maiñ sab ke ghar gayā lekin
tum aaj aa.e ho jab merā haath ḳhālī hai
kisī kī sham.eñ sar-e-shām bujh ga.iiñ 'nayyar'
kisī ke shahr meñ lekin abhī dīvālī hai