Salahuddin Nayyar

har ek zarra bar-e-amanat se Dar gaya

Salahuddin Nayyar

Hyderabad, Telangana, India

1935
har ek zarra bār-e-amānat se Dar gayā
ik maiñ hī thā ki tere muqābil Thahar gayā
har chiiz jal ga.ī thī ba-juz chashm-e-intizār
auroñ ke ghar bujhā ke jo maiñ apne ghar gayā
is daur-e-intishār kā ye bhī hai hādisa
tahzīb zinda rah ga.ī insān mar gayā
vo bhī kabhī thā apne qabīle kā aadmī
kal terī anjuman se jo bā-chashm-e-tar gayā
tum muskurā ke ek taraf ho ga.e magar
ilzām saarā zulf-e-pareshāñ ke sar gayā
ab tak bhī jis ko paane kī 'nayyar' hai aarzū
vo lamha-e-azīz na jaane kidhar gayā
Top Urdushayar.com