thī kahāñ jur.at kisī meñ haañ magar us ne kiyā
dil ke is ḳhālī makāñ ko aaj ghar us ne kiyā
ik zamāna thā ki duniyā thī mire qadmoñ tale
phir zamāne bhar se mujh ko be-ḳhabar us ne kiyā
maiñ ne jis kī raah meñ dil ko jalā kar rakh diyā
mujh ko sīdhe rāste se dar-ba-dar us ne kiyā
mast nazroñ ke sharābī ko bhalā kyā chāhiye
ik jhalak ke vāste kitnā safar us ne kiyā
phuul ḳhushbū rañg titlī isti.āre haiñ magar
mujh ko ye sab naam de kar mo'atabar us ne kiyā
aaj us ke dil meñ merī yaad phir raushan huī
aaj phir raushan diyā dīvār par us ne kiyā
haath meñ vo haath merā thaam kar chaltā rahā
zindagī ke fāsloñ ko muḳhtasar us ne kiyā
phuul kaliyāñ jis ke collar meñ sajā kar aa ga.ī
zindagī kī ketiyoñ ko be-samar us ne kiyā
jis ke hoñToñ par tabassum thā 'tabassum' ke liye
vo tabassum ġhair ke phir naam par us ne kiyā