umr bhar jis kī mohabbat meñ giraftār rahī
us ko dīvār kiyā ḳhud pas-e-dīvār rahī
aañkh lag jaa.e to phir aañkh kahāñ lagtī hai
maiñ agar so bhī ga.ī ḳhvāb meñ bedār rahī
tīrgī se mirā samjhauta nahīñ ho saktā
maiñ hamesha se charāġhoñ kī taraf-dār rahī
bāġhbānoñ ko pashemānī isī baat kī hai
maiñ ḳhizāoñ ke dinoñ meñ bhī samar-bār rahī
tū to kam-hausla mat jaan mujhe ai duniyā
tujh se to har ghaḌī maiñ barsar-e-paikār rahī
mere chehre pe 'tabassum' kī haqīqat na khulī
maiñ zamāne ke liye kitnī pur-asrār rahī